Showing posts with label Love Poetry. Show all posts
Showing posts with label Love Poetry. Show all posts

Thursday, April 8, 2010

Umeed Lagha Rakhi Hai








Har sham chirago se saja rakhi hai
par shart hawaon se lga rakhi hai

Jis gali sy hy umeed tery aany ki
Wo gali phoolon sy saja rakhi hy

Chokhat sy takra k kahin gir jaye na tu
isi khadshy sy dewar b gira rakhi hy

Sath ho koi mry ,tujhy bura na lagy
Rooh bhi apny jism sy juda rakhi hy

Isi aas sy k kabhi to wo aye ga ALI
Dheery dheery apni sans chala rakhi hy

Teray Shehr E Munafiq








Ma teray is shehr e munafiq ki bunyadain hila daita,
Ben k tufaan teray gher ki dewarain gira daita,

Tu nay meri sirf abi dua ka aser daikha ha,
Bedua woh daita k teri hesti mita daita,

Meray hatho ko teri muhebet ki zenjeer nay ha jekra hua,
Werna ma teray is shehr e munafiq ko jela daita,

Ma chup hu ager, isay meri kemzori met semejh,
Ager ma bolta to sherm say teri nezrain jhuka daita,

Ma subho sham teri geliyo ma bhetekta reha,
Tu nay suna to ho ga koi tujh ko sada daita,

Syed ka ager tu nay haal daikhna ho to,
Kabhi aana aur usay daikhna phir khud ko saza daita.

Pyaar Ki Ruswai








Kyun Khud Ko Beqaraar Kiye Jaarahi Hoon Mein
Kis Bewafa Ko Pyar Kiye Jarahi Hoon Mein

Aaya Kabhi Na, Aur Jo Na Ayega Phir Kabhi
Kyun Uska Intezar Kiye Jarahi Hoon Mein

Jo Kisi Wafa Ke Naam Se Bhi Ashna Nahi
Uspar Hi Jaan Nisaar Kiye Jarahi Hoon Mein

Poora Na Hoga Wada-E-Wafa Kabhi Magar
Danista Aitebar Kiye Jarahi Hoon Mein

Ankhoun Ko Ashkbaar Kiye Jarahi Hoon Mein
Usko Mein Bhool Jaoun Ye Mumkin Nahi Magar

Koshish Ye Baar Baar Kiye Jarahi Hoon Mein
Dena Naa Gair Ko Itni Jagah Qareeb Kabhi

Dil Tujhko Baar Baar Hoshiyar Kiye Jarahi Hoon Mein
Ruswa Hui Hoon Aaj Jiske Pyar Me Mein
Isko Bhi Sharmsaar Kiye Jarahi Hoon Mein

KUN TUM SE ITNA PIYAAR HAI!!?







KUN TUM SE ITNA PIYAAR HAI!!?
jab bi kabi main sochta hn
phr se tumhain khojta hn
hai ye meri zindgi ya jeeti hui laash
ya is be lagaam dil ko teri hai talaash
bheeti hui shamein ya bheetay huve wo din
shaid tere bicharne ki der thi sab kuch gia chin

wo anghan ki surkh eentain
wo barish ki naram cheentain
anghan ki wo hari beil
tere gesuon ki ik jheil
wo peepal k surkh pattay
jin k talay thy hm hanstay
tera wo rooth jana
phr tumhain manaana
wo din the bare ache
wo acha tha zamaana

tum muskra k jab jate thy
aye yar mar jate thy
hr jeet teri hoti thi
hr haar thi hmaari
us haar jane mein
ik jeet thi hmaari
ankhein jo theen hmaari
to hr adaa thi tumhari
MERA AAJ BI TUM SE YE SAWAL HAI?
KUN TUMSE ITNA PIYAAR HAI!!?

Kehan Ishq E Khuda Kehan Kafir








Kehan mera khuda koi aur.. Kehan dil main mendir?..
Kehan raat jagu ma.. Kehan khewab ka menzir?
Kehan Kaabay ko sejda..Kehan dil ma kafir..
Kehan kat ta tha chila..Kehan ben gya musafir?
Kehan din raat ki ibadet..Kehan makhanay main hazir?
Kehan jennet ka derwaza..Kehan duniya ma kafir?
Kehan Syed ka muqeder? Kehan kufr ka akhir..?
Yehi baat thi k ishq e khuda ma megen thay kebhi
Ishq phir hua to sehi meger mila humain kafir........

Miley Jo Mohabbat To Izhaar Kar Lena






Miley Jo Mohabbat To Izhaar Kar Hi Dena,
Na Jane Kis Mod Par Bichad Jaye Woh,Phir Na Milne Ke Liye,
Miley Jo Pyaar To Dil Beqarar Kar Hi Lena.

Aaye Jo Yaad Unki Is Duniya Ki Bheed Mai,
Mehfil Me Na Sahi,Tanhai Me Aankhe Zaar-Zaar Kar Lena.

Miley Jo Mandir, Masjid, Ya Ho Namaz Kahi,
Unki Salamati Ki Dua Khuda Se Baar Baar Kar Lena.

Mehfil Me Mil Jaye Woh Agar Tanha Baithe Hue,
Nazre Mila Ke Unse Aankhe Char Kar Lena.

Hota Nahi Sabka Naseeb Sitaro Jaisa,
Mil Jaye Jo Chaand To Deedar Kar Lena.
Miley Jo Mohabbat To Izhaar Kar Hi Lena.

TUMHARAY LIYE...





Main ne
Tumharay liye
Kayee rangon ke gulab
Sanjoon ke rakhay hain
Unko indradhanush ke rangon se
Bandha bhi hai
Aur
Sitaroon ko taank ker
Lapeta bhi hai


Main ne
Shermati howi
Usha ke raktaab gaalon ki
Chutkee le kar
Tumhaari maang ke liye sindoor
Apni unglee mein lagaa
Bhee rakha hai


Aaj maine apni
Palkon ko band kar rakha hai
Kyunki
Usme kutchh sapne hain
Jo tumhare bahut apne hain
Jaise main
Aur mere dil me basaa
Tumhara pyaar...

jayeye aap se nahi bolti







Chooriyan haath main thien
aur haathoon main uska haath bhi tha

sham-e-tanhaye bhi thi
rung aur noor ki barsaat bhi thi

mousamoon ka junoon urooj per tha
dharkanoon per bhi ikhtiyar na tha

uski be-haal larazti howi jawani thi
uski madhosh nigahoon main talab payar ka tha

kanptay haathoon se uske shugufta haathoon main
Chooriyan mujh se na pehnayi gaien

haan mager haath ghayal ho hi gaye
usne nazerien jhuka ker itna hi kaha
jayeye aap se nahi bolti
app se itna bhi nahi hota..!!

Tumhain maloom hai







Tumhain maloom hai
Guzri shab main ne kiya kia?????
Aoo main tumhain guzri shab ka haal sunaoon
Main ne guzri shab jag ker ik kam kiya
Main ne apni aur tumhari zindagi main
Anay wali tammam kushion aur ghamoon ko ik jagha ikhtah kia
Phir main ne tumhari aur apni apni zindagi main anay wali
kushion aur ghamoon ko Aleeda Aleeda kia
Phir main ne ik kam kiya
Apnay hisay ki kushion ko tumharay hisay ke ghamoon se badal diya
Dekh mairy jaan guzri shab main ne yeah kia

Mairay dost zindagi bhar mujhe yoon hi payar kerna






Mairay dost zindagi bhar mujhe yoon hi payar kerna
Main tujhe dagha na doongi maira aitbaar kerna.

Abhi mairy kismatoon ka hai sitara gardhishon main
Mairay dost kuch dinoon tuk maira intizar kerna

Ab torde do yeah sheeshay mairay kaam ke nahi hain
Mairay pass jab nahi tum bhala kiya shingar kerna

Yeahi Arzoo hai ab to mairay baad zindagi main
Ke tu phir kabhi kisi se na nigah char kerna

Tumana le ke ulfet ki mairay angan main wo aya






Tumana le ke ulfet ki mairay angan main wo aya

Muhabbat rog hai dil ka use yeah main nien samjhaya

Kaha us nien muhabbat ker shareeq-e-ghum bana mujh ko

Keroon ga main zamanay ki roshni se aashna tum ko

Huwa mujboor main yaro kiya iqrar ulfet ka

Laga dee jaan ki baazi samaj ker khail qismat ka

Huwi maloom phir us ki HAQEEQAT yeah zamanay se

Use TASKEEN milti hai kisi ka dil Dukhanay Se

Basti Dil Waloon ki







ik Basti Thi DIL Waloon Ki
Jahan Chand Aur Suraj Raha Kertay Thay
Sara Din Woh Aangan Main Hunsa Kehla Kertay Thay
ik Dosray Pe DIL-O-JAN Se Mertay Thay
Phir ik Din Yoon Huwa
Wo Dono Apas Main Rooth Gaye
Jo Sapnay Dekhay Thay Wo Toot Gaye
Ab Chand Wahan Tub Ata Hai Jub Suraj Chala Jata Hai
Jub Suraj Ata Hai Tu Chand So Jata Hai
Badal yeah Kehta Hai
Yeah Suraj Uljha Uljha Rehta Hai
Chand Ke Paas To Sitaray Hain
Yeah Suraj Tanha Rehta Hai

Kon kehta hai muhabbat ki zuban hoti hai






Kon kehta hai muhabbat ki zuban hoti hai
Yeah haqeeqat to nigahoon se bayan hoti hai

Wo na aaye to satati hai khalish see dil ko
Wo jo aaye to khalish aur jawan hoti hai

Rooh ko shad keray dil ko jo purnoor keray
Her nazaaray main yeah tanveer kahan hoti hai

Sabt-e-selaabay muhabbat ko kahan tuk rokay
Dil main jo baat ho aankho se ayaan hoti hai

Zindagi ik sulgati C chita hai `Dosto'
Shola banti hai na yeah bhuj ke dhuwaan hoti hai

Kon kehta hai muhabbat ki zuban hoti hai
Yeah haqeeqat to nigahoon se bayan hoti hai...!!

Aankh se aankh milata hai koi





Aankh se aankh milata hai koi
Dil ko Chura liye jata hai koi

Vaa-e-hairat ki bhari mehafil main
Mujh ko tanha nazer ata hai koi

Chahiye Khud pe yaqeen-e-kaamil
Hosla kis ka bharhata hai koi

Sab karishmaat-e-tasawur hai "RAAZ"
varna ata hai na jata hai koi... !!

Khamosh fiza thi kahien saya bhi nahien tha








Khamosh fiza thi kahien saya bhi nahien tha

is shahar main hum sa koi tanha bhi nahien tha

Kis jurm main cheeni gayi mujh se mairy hunsi

Hum ne to kisi ka dil dukhaya bhi nahien tha

Hum jis k hawalay se howay shahar main badnaam

us shaks ko to hum ne kabhi rulaya bhi nahien tha

Wo dil hi kia tere milnay ki jo dua na keray







Wo dil hi kia tere milnay ki jo dua na keray
main tujh ko bhool ke zinda rahoon khuda na keray

rahay ga sath tera payar zindagi ban ker
yeah aur baat hai mairy zindagi wafa na keray

yeah theek hai nahien merta koi judai main
khuda kisi se kisi ko mager juda na keray

suna hai us ko muhabbat duien detien hain
jo dil pe choot to khaye mager gilla na keray

zamana dekh chuka hai parakh chuka hai use
Qateel jaan se jaye mager iltjah na keray

Ager mairay bas main hota





Apna use banana ager mairay bas main hota
lout ata lout ana ager mairay bas main hota

Ankhoon main unki jata surat badal badal ke
khawaboon main ana jana ager mairay bas main hota

chehray ko muskurahat se main sajye rakhta
Ae yaar muskarana ager mairay bas main hota

duniya se khatam ker ke rukh deta rung-o-ghum ko
bazm-e-tarab sajana ager mairay bas main hota

Qadmoon main unke laa ker taray baikhair deta
taroon ko torde lana ager mairay bas main hota

lata na naam bhi main us bewafa ka lub per
usko bhulana ager mairay bas main hota

Bahar Ayee







Bahar Ayee
to jaisay yuk bar lot aye hain phir adum se
wo khawab saray shabab saray
jo tairay hontoon pe mur mittay thay
jo mit ke her bar phir jiye thay

nikher gay hain gulab saray
jo tairy yadoon se mushkboo hain

jo tairay Ashak ka laho hain
bahar ayee

ubhal paray hain azab saray

malal-e-ehbay-e-dostan bhi
tumhary aghosh-e-mehvashan bhi

ghubaar-e-khatir ke baab saray

tairay humaray sawal saray jawab saray

bahar ayee

to khul gay hain
naye siray se hisab saray

naye siray se hisab saray

bahar ayee

Khawaboon ke humsafer







Ae mairay khawaboon ke humsafer
main bhi hoon jaan banda basher

tujh se ho gi mulaqat kabhi
yan yadoon main ho gi zindagi baser

hamien to yoon hi jeetay jee mar gaye
teri ik ada, teri ik nazer

Jaan se zaida tujh ko payar kiya
tujhe kia pata, tujhe kia khaber?

Zindagi bhi kitny ajeeb hai "Raaz"
Abla paa hain aur hai lamba safer

Main bana hoon sirf tairay liye







Main bana hoon sirf tairay liye
mujhe aur kuch to khaber nahien

Main to jisam hoon mairy jaan tu
tairay bin to mairy guzer nahien

Mairy dharkanoon pe likhi hai jo
Tu hai wohi payar ki dastaan

Kahaan jaoon ga tujhe chor ker
Taira dil to hai maira ashiyaan

Sari umer yoon milaingay hum
Hamain is jahan ka koi dur nahien

Main bana hoon sirf tairay liye
Mujhe aur kuch to khaber nahien

Mairy sansoon main hai mehak tairy
Mairy khuwahishoon pe tu chaa gaya

Tairay haathoon ki lakeeroon main
Maira wajood sama gaya

Mujhe tujh se jo juda keray
Yeah to judai main bhi ab aser nahien

Main bana hoon sirf tairay liye,
Mujhe aur kuch to khaber nahien

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More