Friday, April 9, 2010

hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle…






hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle…

tum magar dost kahaN thay pehle…

ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN…

phool hi phool jahaaN thay pehle…

ab jo deewar bunay baithay hain…

soorat-e mooj rawaaN thay pehle…

kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN….

ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle…

hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro…

munzil hum sufraaN thay pehle…

ab kise waza-e mohabbat ka khayal…

aur hi loag yahaan thay pehle…

ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa…

tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle…

bun gya kafla chaltay chaltay …

wurna tunha hi rawaan thay pehle…

dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz…

itne muflis bhi kahaan thay pehle………




0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More