itnay gehray thai meri jaan rawabat tum se torney chahay jo hum ne to ba-mushkil tootay
jo zamaney ki nigaahon se chupa rakhay thai waqt e aakhir wo ta’aluq sar e mehfil tootay
sar kiye ma’arka e zeest bari himmat se daagh daman pe kisi baat pe aaney na diya
tujh se izhaar e muhabbat bhi magar kar na sakay hoslay meray faqat teray muqaabil tootay
husn phoolon ka hii banta hai tabaahii ka sabab dosto khaar e mugheelan nahin nochay jatay
aap tareekh e gulistan utha kar dekhien is mein bus shaakh se gull deed ke qabil tootay
meray paikar main nazakat hai gulon kii aakhir main qaid hon aahanii zanjeer mein ik muddat se
azm e parwaaz mein phir bhi hai hararat itnii arsh chho loonga agar band e salasil tootay
koh e ghum teri muhabbat ka gira hai mujh par sang-raizon mein badal jana mera wajib hai
mit gaye hotay jo taklakht to acha hota yeh qyamat hai ke hum tootay paa til-til tootay
dast basta ya husainii kii dua hai ya raab umr bhar ashk bahaney ko na zinda rakhna
bhaij daina tu meray naam pe paigham e ajal is se pehlay ke muhabbat mein mera dil tootay
0 comments:
Post a Comment