Friday, April 9, 2010

Khayaal-o-Khuwaab Me Dewaar-o-Dar Banatey Howe






Khayaal-o-Khuwaab Me Dewaar-o-Dar Banatey Howe

Hamein To Umer Lagi Aik Ghar Banatey Howe

Aazaab-e-Dasht Nordi Ka Saamna Hai Mujhe

Soo Darr Raha Hon Tujhe Hamsafar Banatey Howe

Bana Raha Tha Parindaa Mai Aik Kaghaz Par

Ke Khud Urrney Laga Uske Parr Banatey Howe

Wo Dukh Uthayein Ke Jaan Say Guzar Gaye Hum Log

Aaroos-e-Khaak Tujhe Mutaabir Banatey Howe

Wo Naqsh Phir Bhi Na Ban Saka Mujh Say

Mai Aap Tout Gaya Tout Kar Banatey Howe




0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More