Na baab e harf e sada main,na maah wa saal main thaa
jawab jis ka nahi thaa woh us sawal main thaa
main zindage ki tarha us ki baat baat main thi
woh roshani ki tarha meray khad o khaal main thaa
yeah harf harf main khushboo,yeah roshani ka safar
mera to kuch b nahi sub teray jamal main thaa
jo muskura k judai ki baat karta thaa
mujhay mila togirfat e shab e malaal main thaa
yeah log yun to nahi thay jo ab zawal main hain
yeah shahr aisa nahi thaa k jab kamal main thaa
k manzaron main jo manzar thay khulay mujh par
yahi hunar to meray was`aat e khayaal main thaa
andheeri raat main jaisay charaag jal uthain
yeah kiya tilsam teray isam e bay misaal main thaa
0 comments:
Post a Comment