koi nahi tha apnay muqabil bhi main hi tha
shayad k apni rah main hayal bhi main thi tha
apnay hi gird main ne kiya umar bhar safar
bhatkaya mujh ko jis ne wo manzil bhi main hi tha
ubhra hoon jin se baar ha mujh main thay sab bhanwar
dooba jahan pohach k wo sahil bhi main hi tha
aasaan nahi tha saazishain karna mere khilaf
jab apni aarzo'on ka qatil bhi main hi tha
shab bhar hari ek khayal mukhatib bhi mujh se tha
tan'haiyon main raunaq e mehfil bhi main hi tha
dunya se be nayazi bhi fitrat meri hi thi
dunya k ranj o dard main shamil bhi main hi tha
mujh ko samaj na payi kabhi meri zindagi
aasan'yan mujhi se thi mushkil bhi main hi tha
mujh main tha khair o shar ka ajab imtizaj 'shad'
main khud hi haq parast tha baatil bhi main hi tha
0 comments:
Post a Comment